Login
|
Sign Up
Toggle navigation
HOME
Fatawa (
55
)
Aqaid w Imaniyyat (
1
)
Islami Aqaid (
0
)
Adyan-o-Mazahib (
0
)
Firaq-e-Batila (False Sects) (
0
)
Bid'aat-o-Rusumat (
0
)
Taqleed A'imma, Masalik (
0
)
Quran-e-kareem (
1
)
Hadees & Sunnat (
0
)
Dawat & Tableegh (
0
)
Ibadat (
10
)
Taharat (purity) (
4
)
Namaz (Prayer) (
3
)
Juma, Eidain (
1
)
Ahkam-e-Mayyet (
0
)
Rozah (Fasting) (
1
)
Zakat & Sadqat (
0
)
Hajj & Umrah (
1
)
Zabeeha & Qurbani (
0
)
Qasam & Nazar (
0
)
Auqaf, Masajid, Madaris (
0
)
Muamalat (
5
)
Tijaarat (Buisnes) (
2
)
Intrest ,Insurrance (
3
)
Warasat (
0
)
Muaashrat (
4
)
Nikah (Marriage) (
4
)
Talaaq (Divorce) (
0
)
Libas & Lifestyle (
0
)
Akhlaaq & Aadab (
0
)
Ta'leem & Tarbiyat (
0
)
Mutafarriqat (
7
)
Halal & Haram (
3
)
Tasawwuf (
0
)
Seerat & Maghazi (
0
)
Other (
4
)
Recent Fatawa
Article
Ask a Question
Ibadat
/
Juma, Eidain
Question # :
1044
India
Mera ek sawal hai. Juma ke khutbah ko gair arabi zuban me padhna kaisa hai. Aur agar kisi masjid me gair arabi zuban me khutabah padha jaata hai to wha namaz padhne ka kya hukm hoga. Aut jaisa ke gairmuqallideen hazraat ka dawa hai ke khutab asal me logo ko naseehat hai jo muqaami zuban me hona chahiye ye kha tk sahi aur khutbah sirf arabi zuban me hi hona is ki daleel baraye karam irsaal farmaye. Hamare mohalle ki masjid ma masla hai.
Answer :
1044
Published On :
Mar 07, 2020
بسم الله الرحمن الرحيم
Aap Sallallahu Alaihi w'sallam ,tamam Sahaba aur salaf-o-saliheen ka tareeqa aur Sunnate mutawarisa yahi hai ki Jame ka khutba khalis Arabi zuban me hona chahiye.Arabi zuban ke alawa kisi dusri zuban me khutba dena Bid'at-e-sayyia aur Makruh tahreemi hai. Ghair muqallideen ka ye kahna ki khutba se maqsud mahez waz-o-Naseehat hai is liye maqami zuban me hona chahiye,durust nahi.... kunki tareekh-e-islam shahid hai ki Aap Sallallahu Alaihi w'sallam ke khutba'A'Juma me bahut martaba Room,Faras Aur Bilad-e-Ajam ke log bhi shamil huwa karte the is ke bawajud Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne kabhi ghair Arabi me Khutba nahi dia. Agar ye kaha jaye ki Aap sallalahu Alaihi w'sallam Arabi ke Alawa dusri zuban nahi bolte the.to App ke Sahaba me aise bahut se Sahabi the jo dusri zuban seekhe huwe the Aap Sallallahu Alaihi w'sallam kisi sahabi se uska tarjuma hi kara dete jaisa ka baaz wufud se mulaqat aur baat cheet ke waqat murarjim se kaam liya jata tha. Aap Sallallahu Alaihi w'sallam ke baad Hazrat-e-Sahab Arab ke bahar tashreef le gaye waha rahen sahen bhi Akhtiyar kiya Aur Wahan ki zuban bhi seekhi lekin iske bawajud kisi sahabi ne kabhi bhi wahan ki maqami Zuban me khutba nahi diya. Aap Sallallahu Alaihi w sallam Aur Sahaba ke daur me to ahkame islam ki tableegh ki zyada zarurat thi Agar khuba-e-Juma se maqsud waz-o-Naseehat hota to kabhi to ghair Arabi me khuta sabit hota. khuta juma se maqsud waaz-o-Naseehat nahi balki mahez Zikrullah hai jaisa ki Hazrat-e-Fuqha-e-keram ne tasreeh farmai hai,jis masjid me ghair arabi me khutba hota ho wahan Namaz padhne se Hattal imkaan Ehtiyat karni chahiye taham agar Agar baghair kisi majbori ke Namaz padh li to karahat ke satha Namaz Ada ho jayegi. ولنا ان الخطبۃ ذکر ۔الخ (مبسوط سرخسی باب صلوٰۃالجمعۃ دارالکتب العلمیہ بیروت ۲/۶۲ فانہ لا شک فی انّ الخطبۃ بغیر العربیّۃ خلاف السنّۃ المتوارثۃ من النّبی صلی اللہ علیہ وسلم و الصحابۃ رضی اللہ عنہم اجمعین فیکون مکروہاً تحریماً (عمدۃ الرعایہ ج۱، ص۲۴۲)
Allah knows Best
Darul Ifta,
Baitul Ma'arif,Kairabad (Awadh)
Related Question / متعلقہ سوال
Home
Audio
Al-Quran
Video
Books
Services
Darul-Ifta
Online Darse Nizami
Contact
Live
About Us
Stay Updated
Subscribe for the latest
updates and articles
Your Opinion / Message